Shri Balaji Chalisa
Shri Balaji Chalisa is a devotional song based on Lord Shri Balaji.
Accordign to Shastra Lord Balaji left Vaikuntha (his heavenly abode) and settled on earth at this place for the emancipation of the Humankind in the yuga where humans and their moral values will decay.
|| Shri Balaji Chalisa ||
|| Doha ||
Shri Guru charan chit laay । ke dharen dhyaan Hanuman ॥
Balaji Chalisa likhe । Daas snehii kalyaan ॥ (1)
Vishva vidit var dani । Sankat haran Hanuman ॥
Mainhadee pur me pragat bhaye । Balaji Bhagwan॥ (2)
|| Chaupai ||
Jai Hanuman Balaji deva ।
Pragat bhaye yahan Teeno Deva ॥ (1)
Preta Raaj bhairav Balwana ।
Kotwaal Kaptaani Hanumana॥ (2)
Mehadee pur avatar liya hai ।
Bhakton ka udhaar kiya hai ॥ (3)
Baal roop pragte hain yahan par ।
Sankat wale aate jahan par ॥ (4)
Dakani shakani aru jindanii ।
Mashan chudaiil bhoot bhootni ॥ (5)
Jaake bhay te sab bhaag jate ।
Syane bhope yahan ghabarate॥ (6)
Chauki bandhan sab kat jate ।
Doot mile anand manate॥ (7)
Sachcha hai darbaar tiharaa ।
Sharan pade sukh pave bhara॥ (8)
Roop tej bal Atulit dhama ।
Sanmukh jinake siya rama ॥ (9)
Kanak mukut manii Tej Prakasha ।
Sabaki hovat poorna asha॥ (10)
Mahant Ganesh Puri Gunile ।
Bhaye Su sewak ram rangilee ॥ (11)
Adbhut kala dikhayi kaisie।
Kalyug jyoti jalayi jaisie ॥ (12)
Oonchi dhwaja Pataka nabh me।
Swarna kalash hain unnat jag me॥ (13)
Dharma satya ka danka baje।
Siya Ram Jai Shankar Raje ॥ (14)
Aan Firyae Mugdar Ghota।
Bhoot jind par padte Sota ॥ (15)
Ram Lakshman siya Hridya kalyanaa ।
Baal roop pragte Hanumana ॥ (16)
Jai Hanuman Hatheele deva ।
Poori pariwar karat hain sewa॥ (17)
Laddoo choorma mishri mewa ।
Arji darakhwast lagau Deva॥ (18)
Daya kare sab vidhi Balaji ।
Sankat haran pragte Balaji ॥ (19)
Jai baba ki jan jan oocharre ।
Kotik jan tere aayee dware॥ (20)
Baal samaye ravi bhakshahi leenha।
timir maye jag kienho teenhaa ॥ (21)
Devan Vinatee ki ati bhaaree।
Chhand diyo ravi kasht niharee॥ (22)
Langhi udadhi siya sudhi laye।
Lakshman hita sanjevan laye ॥ (23)
Rama Nuj praan Diwakar।
Shankar suwan maa Anjanee Chakar ॥ (24)
Keshari Nandan dukh bhav bhanjan ।
Rama Nand sada sukh Sandan ॥ (25)
Siya Ram ke praan piyaare ।
Jab baba ki bhakt oochaare ॥ (26)
Sankat dukhh bhanjan Bhagwana।
Daya karahu hey kripa Nidhana ॥ (27)
Sumar baal roop kalyana।
Kare manorath Pooran kaama ॥ (28)
Ashta Sidhdi Nav Nidhi Datari ।
Bhakt jan aave bahu bhari ॥ (29)
Mewa aru mishtaan pravena ।
Bhaint chadha ven dhani aru dena ॥ (30)
Nratya kare nit nyare nyare ।
Ridhdi sidhdiyan jake dware ॥ (31)
Arji ka aadesh milate Hi।
Bhairav bhoot pakadate tab Hi॥ (32)
Kotawal kaptan krapani।
Pretraaj sankat kalyani ॥ (33)
Chauki bandhan katate bhai।
Jo jan karate hain sewkayi || (34)
Ramdaas Baal bhag vanta ।
Mehadee pur pragate Hanumanta ॥ (35)
Jo jan Balaji me aate।
Janm janm ke paap Nashate ॥ (36)
Jal pawan lekar ghar jate ।
Nirmal ho Anand Manate ॥ (37)
Kroor kathin sankat bhag jaawe ।
Saty dharma path rah dikhawe ॥ (38)
Jo sat path kare Chalisa॥
Ta par prasan hoye bagesa ॥ (39)
Kalyaan snehee, sneh se gaave ।
Sukh samrdhhi Riddhi Siddhi Paave ॥ (40)
|| Doha ||
Mand Buddhi mam Jaanke।
kshama karo gun khaan॥
Sankat mochan kshamahu mam ।
Daas Snehi kalyan॥